Posts

Showing posts from July, 2017

Kaun kehta hai ke maut aayi to marr JauNga

Image
Ahmed Nadim Qasmi Kaun kehta hai ki maut aayi to mar jauNga MaiN to dariya huN samandar meiN utar jauNga tera dar chhoḌ ke maiN aur kidhar jauNga ghar meiN ghir jauNga sehraa meiN bikhar jauNga tere pehlu se jo uTThuNga to mushkil ye hai sirf ik shaḳhs ko pauNga jidhar jauNga ab tere shehr meiN auNga musafir ki tarah saaya-e-abr ki maanind guzar jauNga tera paimaan-e-wafa raah ki deewar bana varna socha tha ki jab chahuNga mar jauNga charasazoN se alag hai mera mayaar ki maiN zaḳhm khauNga to kuchh aur samwar jauNga ab to ḳhurshid ko guzre hue sadiyaN guzriN ab use DhoonDne maiN ta-ba-sehar jauNga zindagi shamma ki manind jalata huN 'nadim' bujh to jauNga magar subha to kar jauNga احمد ندیم قاسمی کون کہتا ہے کہ موت آئی تو مر جاؤں گا میں تو دریا ہوں سمندر میں اتر جاؤں گا تیرا در چھوڑ کے میں اور کدھر جاؤں گا گھر میں گھر جاؤں گا صحرا میں بکھر جاؤں گا تیرے پہلو سے جو اٹھوں گا تو مشکل یہ ہے صرف اک شخص کو پاؤں گا جدھر جاؤں گا اب ترے شہر میں آؤں گا ...