Amjad Islam Amjad zindagī ke mele meñ ḳhvāhishoñ ke rele meñ tum se kyā kahīñ jānāñ is qadar jhamele meñ vaqt kī ravānī hai baḳht kī girānī hai saḳht be zamīnī hai saḳht lā-makānī hai hijr ke samundar meñ taḳht aur taḳhte kī ek hī kahānī hai tum ko jo sunānī hai baat go zarā sī hai baat umr bhar kī hai dard ke samundar meñ an-ginat jazīre haiñ be-shumār motī haiñ aañkh ke darīche meñ tum ne jo sajāyā thā baat us diye kī hai baat is gile kī hai jo lahū kī halvatoñ meñ chor ban ke aatā hai lafz kī fasīloñ pe TuuT TuuT jaatā hai zindagī se lambī hai baat rat-jage kī hai rāste meñ kaise ho baat taḳhliye kī hai taḳhliye kī bātoñ meñ guftugū izāfī hai pyaar karne vāloñ ko bas ik nigāh kaafī hai ho sake to sun jaao ek roz akele meñ tum se kyā kaheñ jānāñ is qadar jhamele meñ زندگی کے میلے میں زندگی کے میلے میں خواہشوں کے ریلے میں تم سے کیا کہیں جاناں اس قدر جھمیلے میں وقت کی روانی ہے بخت کی گرانی ہے سخت بے زمینی ہے سخت لا مکانی ہے ہجر کے سمندر میں تخت اور تختے کی ایک ہی کہان...