Kahan aake rukne the raaste, Ghazal of Amjad Islam Amjad






امجد اسلام امجد

کہاں آکے رکنے تھے راستے کہاں موڑ تھا اسے بھول جا

وہ جو مل گیا اسے یاد رکھ جو نہیں ملا اسے بھول جا

وہ
ترے نصیب کی بارشیں کسی اور چھت پہ برس گئیں

دل
بے خبر مری بات سن اسے بھول جا اسے بھول جا

میں
تو گم تھا تیرے ہی دھیان میں تری آس تیرے گمان میں

صبا
کہہ گئی مرے کان میں مرے ساتھ آ اسے بھول جا

کسی
آنکھ میں نہیں اشک غم ترے بعد کچھ بھی نہیں ہے کم

تجھے
زندگی نے بھلا دیا تو بھی مسکرا اسے بھول جا

کہیں
چاک جاں کا رفو نہیں کسی آستیں پہ لہو نہیں

کہ
شہید راہ ملال کا نہیں خوں بہا اسے بھول جا

کیوں
اٹا ہوا ہے غبار میں غم زندگی کے فشار میں

وہ
جو درد تھا ترے بخت میں سو وہ ہو گیا اسے بھول جا

تجھے
چاند بن کے ملا تھا جو ترے ساحلوں پہ کھلا تھا جو

وہ
تھا ایک دریا وصال کا سو اتر گیا اسے بھول جا



Amjad Islam Amjad
kahāñ aa ke rukne the rāste kahāñ moḌ thā use bhuul jā
vo jo mil gayā use yaad rakh jo nahīñ milā use bhuul jā
vo tire nasīb kī bārisheñ kisī aur chhat pe baras gayiN
dil-e-be-ḳhabar mirī baat sun use bhuul jā use bhuul ja 
maiñ to gum thā tere hī dhyān meñ tirī aas tere gumān meiN
Sabā kah ga.ī mire kaan meñ mire saath aa use bhuul jā
kisī aañkh meñ nahīñ ashk-e-ġham tire ba.ad kuchh bhī nahīñ hai kam
tujhe zindagī ne bhulā diyā tū bhī muskurā use bhuul jaa
kahīñ chāk-e-jāñ kā rafū nahīñ kisī āstīñ pe lahū nahīN
ki shahīd-e-rāh-e-malāl kā nahīñ ḳhūñ-bahā use bhuul ja
kyuuñ aTā huā hai ġhubār meñ ġham-e-zindagī ke fishār meiN
vo jo dard thā tire baḳht meñ so vo ho gayā use bhuul jā
tujhe chāñd ban ke milā thā jo tire sāhiloñ pe khilā thā jo
vo thā ek dariyā visāl kā so utar gayā use bhuul jā


Comments

Popular posts from this blog

Maine jo geet tere pyar ki khatir likhe | Fankaar by Majrooh Sultanpuri

Silsile toD gaya wo sabhi jaate jaate | ghazal of Ahmad Faraz