Silsile toD gaya wo sabhi jaate jaate | ghazal of Ahmad Faraz
Ghazal of Ahmad Faraz
Silsile toD gaya wo sabhi jaate jaate
سلسلے توڑ گیا وہ سبھی جاتے جاتے
ورنہ اتنے تو مراسم تھے کہ آتے جاتے
شکوۂ ظلمت شب سے تو کہیں بہتر تھا
اپنے حصے کی کوئی شمع جلاتے جاتے
کتنا آساں تھا ترے ہجر میں مرنا جاناں
پھر بھی اک عمر لگی جان سے جاتے جاتے
جشن مقتل ہی نہ برپا ہوا ورنہ ہم بھی
پا بجولاں ہی سہی ناچتے گاتے جاتے
اس کی وہ جانے اسے پاس وفا تھا کہ نہ تھا
تم فرازؔ اپنی طرف سے تو نبھاتے جاتے
Silsile toḌ gayā vo sabhī jaate jaate
Warna itne to marāsim the ki aate jaate
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahiN behtar thā
apne hisse ki koyi shamma jalate jaate
Kitna aasāN thā tere hijr meiN marna jaanaN
phir bhī ik umr lagī jaan se jaate jaate
Jashn-e-maqtal hi na barpā huwa warna hum bhi
pa-ba-jaulaN hi sahi naachte gaate jaate
is kī woh jaane use paas-e-wafa tha ki na tha
tum 'farāz' apnī taraf se to nibhāte jaate
Comments
Post a Comment