Tanhai ki gali meiN hawaoN ka shor tha | Ghazal of Aazar Amrohvi









تنہائی
کی گلی میں ہواؤں کا شور تھا


آنکھوں
میں سو رہا تھا اندھیرا تھکا ہوا


سینے
میں جیسے تیر سا پیوست ہو گیا


تھا
کتنا دل خراش اداسی کا قہقہہ


یوں
بھی ہوا کہ شہر کی سڑکوں پہ بارہا


ہر
شخص سے میں اپنا پتہ پوچھتا پھرا


برسوں
سے چل رہا ہے کوئی میرے ساتھ ساتھ


ہے
کون شخص اس سے میں اک بار پوچھتا


دل
میں اتر کے بجھ گئی یادوں کی چاندنی


آنکھوں
میں انتظار کا سورج پگھل گیا


چھوڑی
ہے ان کی چاہ تو اب لگ رہا ہے یوں


جیسے
میں اتنے روز اندھیروں میں قید تھا


میں
نے ذرا سی بات کہی تھی مذاق میں


تم
نے ذرا سی بات کو اتنا بڑھا لیا


کمرے
میں پھیلتا رہا سگریٹ کا دھواں


میں
بند کھڑکیوں کی طرف دیکھتا رہا


آزرؔ
یہ کس کی سمت بڑھے جا رہے ہیں لوگ


اس
شہر میں تو میرے سوا کوئی بھی نہ تھا

Tanhai kī galī meiN hawāoN kā shor thā

āñkhoñ meiN so rahā thā añdherā thakā huā



Seene meiN jaise tiir sā paivast ho gayā

thā kitnā dil-ḳharāsh udāsī kā qehqaha



yuN bhī huā ki shehr kī saḌkoN pe baar-hā

har shaḳhs se maiñ apnā pata poochhtā phirā



barsoN se chal rahā hai koī mere saath saath

hai kaun shaḳhs us se maiN ik baar poochhtā



dil meiN utar ke bujh gayī yādoN kī chāñdnī

āñkhoN meñ intezar kā sūraj pighal gayā



chhoḌī hai un kī chaah to ab lag rahā hai yuN

jaise maiN itne roz añdheroN meñ qaid thā



maine zarā sī baat kahī thī mazāq meiN

tum ne zarā sī baat ko itnā baḌhā liyā



kamre meiN phailtā rahā cigarette kā dhuāN

maiN band khiḌkiyoN kī taraf dekhtā rahā



'Aazar' ye kis kī simt baḌhe jā rahe haiN log

is shehr meiN to mere siwā koī bhī na thā



Comments

Popular posts from this blog

Kahan aake rukne the raaste, Ghazal of Amjad Islam Amjad

Maine jo geet tere pyar ki khatir likhe | Fankaar by Majrooh Sultanpuri

Silsile toD gaya wo sabhi jaate jaate | ghazal of Ahmad Faraz